Wednesday, 31 August 2017

Sms, shayri,fun,comedy, poetry,Ghazal, Love story

Showing posts with label poem. Show all posts
Showing posts with label poem. Show all posts

Wednesday, August 9, 2017

Kuch to nhi hota ruh ke jaane ke baad|| कुछ तो नही होता रूह के जाने के बाद।। दर्द कविता

रूह के जाने के बाद

कुछ भी तो नहीं रहता

ना आँखें देखती हैं, ना कान सुनते हैं

ना जुबां बोलती है, ना कोई एहसास साथ होता है

सब कुछ ख़त्म हो जाता है, बस एक रूह के जाने से..

मगर फिर भी

जिन्दगी रुक तो नहीं जाती किसी के जाने से

हकीकत बहुत जुदा होती है किसी फ़साने से



कुछ दिन मायूसी कुछ दिनों तक रहती है याद

कुछ दिनों तक हाल बुरा रहता है किसी के जाने के बाद

मगर फिर वही सब पहले की तरह

खाना, सोना,उठाना काम करना, लोगों से मिलना-जुलना

फिर अचानक से होता है एक कमी का एहसास



कुछ लोग जो करीब होते हैं

उन्हें ये कमी खलती है बेहिसाब

साँस अटकी रहती है और जान भी नहीं जाती

ग़मों का टूट पड़ता है सैलाब



सब कुछ ख़त्म हो जाता है बस एक रूह के जाने से..

हकीकत बहुत जुदा होती है किसी फ़साने से



एक सच सामने आता है किसी के जाने से

कुछ भी कर लें लोग बहुत कामयाब बन जायें

कोई भी रोक नहीं सकता मौत को आने से



बस इतना समझ आता है किसी के जाने से

कोई फायदा नहीं इस दुनिया में दिल लगाने से



जिन्दगी रुक तो नहीं जाती किसी के जाने से

Friday, July 28, 2017

Kal raat ko maine khwab dekha sad poetry

KaL Raat Ko Main Ne Aik Khuwaab Dekha, 
Khuwaab Main Aik Chehra Maine Be-NaQaab Dekha, 

Dekhta Hi Reh Gaya Tha Main Unhain, 
Hussan Hi Kuch Aisa La-Jawaab Dekha, 

Noor Hi Noor Tha Saraapa Un Ka, 
Kitnaa Be-MisaaL Shabaab Dekha, 

Dekha Surukh Laboo'n Ko Jub Muskuraaty Howe Un K, 
To GuLshan Main Sharminda GuLaab Dekha, 

Bedaar Howe Neend Se To Ye Jaana Sanam, 
Kitna Haseen Tha Jo Main Ne Khuwaab Dekha, 

Hasrat Hain Unhain Phir Dekhne Ki SAHiL, 
Apni Bhi To Kuch Niyyat Kharaab Dekha,


Thursday, July 27, 2017

Tumari yaad aati h-sad poetry

Tumhari yaad aati hay to hum aansu bahate hain,

Guzare the kabhi jo saath din , vo yaad aatay hain.

Isi umeed pe hum ne khula rakha hay darwaza,

Suna hai shaam hote he bichre lot aatay hain

Haqarat se na dekho ay ehl-e-saahil toofan ko,

Kabi aisa b hota hai kinare doob jatay hain

Kisi se kya gila ‘SHERA ‘ ye dastoor hay zamane ka,

Naye jab yaar milte hain puranay bhool jate hain.


Wednesday, July 26, 2017

Usne shadi kisi aur se rachaya hoga -heart touching shayari for girlfriend

Badi Muskil Se Wo Apne Dil Ko Is Baat K Liye Samjhayi Payi Hoga...

Maa Baap Ki Izzat Ki Khatir Jab Usne Shadi Kisi Aur Se Rachayi Hogi...


Kaun Sa Patthar Rakh Kar Usne Apne Dil Ka Matam Manaya Hoga...

Wo Aansu Nahi Khoon Ka Katra Hoga Jisko Usne Meri Yaad Me Bahaya Hoga...


Zamane Ke Rasm Wa Riwaz Ko Odne Se Pahle....

Usne Apni Rooh Ko Mohabbat Ka Kafan Pahnaya Hoga...



Haqiqat Me Marne Se Pahle Kaise Mara Jata Hai...

Aaj Usne Meri Nigah Me Jeete Hue Bhi Mar Kar Dikya Hoga...


Bachpan Se Jo Usne Khowab Dekha Tha Lal Jode Ko Shadi Me Pahenne Ka...

Un Aanuso Me Wo Saphed Kafan Sa Nazar Aaya Hoga...


Band Karo Ye Pram-Pra Salon, Pram-Prao Se Jodiya Nhi Banti...

Mere Pyar Ka Khoon Karke Bhi Uski Mohabbat Ko Kahan Koi Maar Paya Hoga......

New 2 line sad Shayari, Quotes status in hindi with image Shayari 2018

Vo mujhme talas chhod gya-sad hindi shayari poetry

Mere Wajood Ki Mujh Mein Talaash Chor Gaya,

Jo Pori Na Ho Kabhi Aisi Aas Chor Gaya..!


Yehi Karam Nawazii Us Ki Mujh Pe Kam Hai Kya,

Ke Khud To Door Hai Yadein To Pas Chor Gaya..!


Jo Khawhishen Thi Kabhi Hasraton Mein Dhal Gayi Ab,

Mere Laboon Pe Wo Ek Lafz Kash Chor Gaya..!


Ye Mera Zarf Hai Ik Roz Us Ne Mujh Se Kaha,

K Aam Logon Mein Ek Tujh Ko Khas Chor Gaya..!


Baharon Se Mujhy Isi Liye To Nafrat Hai,

Inhi Ruton Mein Mujhe Wo Udass Chor Gaya..!!!


Tanha thi akeli thi khud ki saheli thi = sad shayri poetry

Tanaha thi akeli thi main khud ki eklauti saheli thi...
Udasiyon se ghiri hui uljhnon me uljhi hui ek ansuljhi paheli thi...

Mere pas na koi wajah thi hansne ki aur na koi rone ka mauka tha...
Meri kismat ne mujhe janam de kar kiya sath mere bahut bada dhokha tha....

Ham umar ladkiyan jab baten pyar mohabbat ki karti thi...
Sach kahun to meri ruh badi buri tarah tadapti thi...

Sochti thi sabse chhupke ki kash koi mujhe bhi bepanah pyar karta...
Kash koi Meri ek muskurahat par apna sab kuchh wo nisar karta...

Waqt to laga magar khuda ne meri dua qubool kar li...
Tumhari beintehan mohabbat se meri khali jholi labalab kar ke bhar di...

Tumne wo har khushi mujhe di jise maine man hi man tha socha ...
Hamesha pyar ka ahsas diya kabhi na meri atma ko tumne nocha...

Meri har khwahish ko tumne apni khwahish man kar pura kiya hai...
Thi zindagi adhoori meri tumne apni maujoodgi se ise pura kiya hai...

Raton ko jaag kar ke tumne mere sath kitne sapne sajaye hain...
Mujhe yakeen hai hum dono is duniya me bas ek dusre ko pane hi aaye hain...

Meri har dua me sirf teri khushi aur tere sath ka zikar hota hai...
Tujhe kho dene ke ahsas bhar se meri rooh ka komal sa man rota hai...

Main duniya se lad jaungi tumhe apna bnanae ke liye...
Main apni sans tak neelam kar dungi apne sapno ka mahal sajane ke liye....

Tumne di itni khushiya to kya main tumhare liye zamane se lad nahi sakti...
Main hanste huye mar sakti hun magar tumse kisi bhi haal me bichhad nahi sakti....

Maine hamesha tumhari lambi umar ke liye karwachauth ka vrat uthaya hai...
tumhe hasta dekh kr hi ab mere dil ne bas sukoon paye hai.....

Tum meri pahli aur akhri mohabbat ho tumhe bhala main kaise khud se alag kar sakti hun...
Main waqt aane par bata dungi ki main tumhare liye sari duniya se akele lad sakti hun.........

Tuesday, July 25, 2017

Aakhiri khat आखिरी खत


Udaas Tehreer Parh K Meri
Mery Sanam Muskra Na Dena

Ye Aakhri Khat Main Likh Raha Hon
Khayal Krna Jala Na Dena

Guzar Rahi Hy Tmhari Kesy 
Bichr K Ham Sy Rula K Hm Ko

Hqeeqton Ko Zaror Likhna 
Ana Ki Khatir Chupa Na Dena

Koi Jo Pochy Kidhr Gaya Wo 
Jo Teri Mehfil Ka Tha Sahara

Jo Furqaton Ka Sabab Bany Thy
Kisi Bashar Ko Bata Na Dena

Main Mar B Jaon To Muskrana
Ehsas_E_Gam Ki Na Chout Khana,

Jo Qurb_E_Gam Sy Nigahen Bheegen 
To Rukh Sy Aanchal Hata Na Dena

Lahu Sy Tehreer Kr Raha Hon
Main Apni Sari Kahani

Jo Phaar B Do To Paas Rakhna 
Hawa Me Tukry Ura Na Dena


Recent Post

Contact Us

Name

Email *

Message *

Search This Blog